Quantcast
Channel: Sufi Music
Viewing all 172 articles
Browse latest View live

Labbon pe tabassum, nigahon mein bijli - Ustad Aziz Ahmed Khan Warsi

$
0
0



Labbon pe tabassum, nigahon mein bijli
qayamat kaheen se chali aa rahi hai

Ab aise mein dil ka hai Allah waali
nazar se nazar aaj takkra rahi hai

Kahan tum raho ge, kahan gham rahe ga
kahan teer pehli nazar ka chubhe ga

Khuda ke liye, apni nazron ko roko
mere dil ki duniyan lutti jaa rahi hai

Na janein zamane ka kya haal ho ga
adaayen sharabi, nigaahen gulabi

Vo ab iss tarah saamne aa rahe hein
ke jaise chaman mein bahar aa rahi hai

Dikha ker jhallak apni chhup jaane wale
phir ik baar Li'Allah parda hatta de

Muhabbat ke sholay bharraknein lage hein
Gale mil ke rukhsat, vo honay lage hein

Abhi se mera dil bujha jaa raha hai
judai kisi ki, sitam dha rahi hai


Beshno az ney chon hekaayat mikonad

$
0
0
Listen to the (ney) reed flute, how it tells a tale of separation,
I want a bosom torn by severance, that I may unfold the pain of love desire,

In every company I uttered my wailful notes,
I consorted with the unhappy and with them that rejoice,

Everyone became my friend from his own opinion;
none sought out my secrets from within me,

My secret is not far from my plaint,
but ear and eye lack the light (to apprehend it)

Body is not veiled from soul nor soul from body,
yet none is permitted to see the soul."

This noise of the reed is fire, it is not wind;
whoso has not this fire may he be naught!

'Tis the fire of Love that is in the reed,
'tis the fervour of love that is in the wine.

The reed is the companion of everyone who has been parted from a friend:
its strains pierced our hearts.

Who ever saw a poison and an antidote like the reed?
Who ever saw a sympathizer and a longing lover like the reed?

The reed tells of the Way full of blood and recounts stories of the passion of Majnun.

Only to the senseless is this sense confided:
the tongue hath no customer save the ear.

In our woe the days (of life) have become untimely:
our days travel hand in hand with burning griefs.

If our days are gone let them go! - 'tis no matter.
Do Thou remain, for none is holy as Thou art!

Whoever is not a fish becomes sated with His water;
whoever is without daily bread finds the day long.

None that is raw understands the state of the ripe:
therefore my words must be brief. Farewell.

~ Rumi

As well as of course our deep and undying gratitude to Mevlana Jalaluddin Rumi for this and the
following pages we are grateful to the following persons:



Transliteration - courtesy of Goli Amini Rad. (Iran)
Translation by professor R.A. Nicholson.

The Persian manuscript is 'the old version' as used by Professor Nicholson when correcting his
original translation. *Those concerned with a more sophisticated transliteration may like to try the excellent Dar al-Masnavi website. JMZ


beshno az ney chon hekaayat mikonad,
az jodaayee ha shekaayat mi-konad,

kaz neyestaan ta maraa bebrideh and,
dar nafiram mardo zan naalideh and,

sineh khaaham sharheh sharheh az faraagh,
ta begooyam sharheh dardeh eshtiyaagh,

har kasi ku door maand az asleh khish,
az jooyad roozegareh vasleh khish,

man be har jamiyati naalaan shodam,
jofteh bad haalaano khosh haalaan shodam,

har kasi az zanneh khod shod yaareh man,
az darooneh man najost asraareh man,

serreh man az naaleyeh man door nist,
lik chashmo goosh ra aan noor nist,

tan zeh jaano jaan zeh tan mastour nist,
lik kas ra dideh jaan dastour nist,

aatash ast in baangeh naayo nist baad,
har keh in aatash nadaarad nist baad,

aatasheh ishq ast kandar ney fetaad,
jooshesheh ishq ast kandar mey fetaad,

ney, harifeh har keh az yaari borid,
pardeh hayash pardeh hayeh ma darid,

hamcho ney zahri o taryaqi keh did?
hamchon ney damsaaz o moshtaqi ke did?

ney hadiseh raheh por khoon mikonad,
qesseh hayeh eshq e majnoon mikonad,

mahrameh in hoosh joz bihoosh nist,
mar zaban ra moshtari joz goosh nist,

dar ghameh ma rooz ha bigaah shod,
rouz ha ba souz ha hamraah shod,

rouz ha gar raft gu ro baak nist,
to bemaan , ey aankeh chin to paak nist,

har keh joz maahi zeh aabash dir shod,
har keh bi roozist, roozash dir shod,

dar nayaabad haaleh pokhteh hich khaam,
pas sokhan kootaah baayad, vassalaam.*

Ye Kaun Aata Hai Tanhaiyon Mein Jaam Liye - Makhdoom Mohiuddin

$
0
0

Ye Kaun Aata Hai Tanhaiyon Mein Jaam Liye
Dilon Mein Chaandni Raaton Ka Ehtemaam Liye

Hujoom-e-Bada-o-Gul Mein, Hujoom-e-Yaaran Mein
Kisi Nigah ne Jhuk Ker Mere Salam Liyee

Kisi Khayal Ki Khushboo Kisi Badan Ki Mahek
Dar-e-Qafas Pe Khadi Hai Saba Payaam Liye

Chatak Rahi Hai Kisi Yaad Ki Kali Dil Mein
Nazar Mein Raqs-E-Bahaaran Ki Subha Shaam Liye

Mahek Mahek Ke Jagati Rahi Naseem-E-Saher
Labon Pe Yaar-e-Masiha Nafas Ka Naam Liye

Bajaa Raha Thha Kahin Door Koi Shehnai
Utha Hoon Aankhon Mein Ik Khwaab-e-Na Tamaam Liye

Poet: Makhdoom Mohiuddin
Qawwal: Ustad Aziz Ahmed Khan Warsi

Tere Dar Tere Aastane ke Qaabil - Hamd by Munshi Razi ud din

$
0
0




Munshi Raziuddin's poetry is sung by his sons Farid Ayaz and Abu Muhammad Qawwals at a small and intimate gathering at our home in Montreal in 2008.

This mehfil begins with a short dua/intro', continued by a few minutes of engaging instrumental music to set up the mood, and then a longer than usual behlava. The  poem is in dedication and love of the Divine. It isn't sung frequently and may be new to some of you so I thought it worthwhile sharing it. The qawwals knew how much I enjoy a long and pensive beginnings :-). Hope you enjoy it despite the somewhat poor quality of the recording. 

Tere Dar Tere Aastaney ke Qaabil
Bana de mujhey sar jhukaney ke qaabil

Tere Dar ke Sajdon ki Lazzat ne Mujh ko
Na Rakha Kaheen aur Janey ke Qaabil

Tumhari Nigahon ki Dhaali hui Mae
Hai Peeney ke Qaabil, Pilaney ke qaabil

Hamee thae Razi, Jo Kissi se na Uthha
Woh Baar e Amanat Uthhaney ke Qaabil.

Poetry: Munshi Raziuddin
Qawwal: Farid Ayaz & Abu Muhammad Party
Location: Montreal, Canada


Preshan Ho Ke Meri Khaak Akhir Dil Na Ban Jaye - Iqbal

$
0
0


Preshan Ho Ke Meri Khaak Akhir Dil Na Ban Jaye
Jo Mushkil Ab Hai Ya Rab Phir Wohi Mushkil Na Ban Jaye

My scattered dust charged with Love the shape of heart may take at last:
O God, the grief that bowed me then may press me down as in the past!

Na Ker Dein Mujh ko Majboor-e-Nava Firdous Mein Hoorein
Mera Soz-e-Doron Phir Garmi-e-Mehfil Na Ban Jaye


The maids of Eden by their charm may arouse my urge for song
The flame of Love that burns in me may fire the zeal of Celestial Throng!


Kabhi Chhordi Huwi Manzil Bhi Yaad Ati Hai Raahi Ko
Khattak Si Hai, Jo Seenay Mein, Gham-e-Manzil Na Ban Jaye

The pilgrim’s mind can dwell at times on spots and stages left behind:
My heed for spots and places crossed, From the Quest may turn my mind! 

Banaya Ishq Ne Darya’ay Na-Payda Karan Mujh Ko
Ye Meri Khud Nigahdari Mera Sahil Na Ban Jaye

By the mighty force of Love I am turned to Boundless Deep:
I fear that my self‐regard, Me, for aye, on shore may keep!

Kahin Iss Alam-e-Be-Rang-o-Bu Mein Bhi Talab Meri
Wohi Afsana-e-Dunbala-e-Mehmil Na Ban Jaye

My hectic search for aim and end, In life that smell and hue doth lack,
May get renown like lover’s tale, Who riding went on litter’s track!

Urooj-e-Adam-e-Khaki Se Anjum Sehme Jate Hain
Ke 
Ye Toota Hua Tara Mah-e-Kamil Na Ban Jaye

The rise of clay‐born man hath smit the hosts of heaven with utter fright: 
They dread that this fallen star to moon may wax with fuller light.  

Poetry ~ Muhammad Iqbal
Composition ! Yousuf Salahuddin

Singer ~ Sanam Marvi

 credit: http://iqbalurdu.blogspot.ca/2011/04/bal-e-jibril-008-preshan-ho-ke-meri.html

Jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hain

$
0
0


Sudhir Narain
Jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hain                
khayaban khayaban iram dekhtay hain

Teray sar o qamat say ek qad e aadam
qayamat kay fitnay ko kam dekhtay hain

Tamasha! keh aey mehw e aaynadari
tujhay kis tamanna say ham dekhtay hain

Suragh e taf e nalah le dagh e dil se
ki shab ro ka naqsh e qadam daikhte hain

Bana kay faqeeron ka ham bhes Ghalib
tamasha e ahl e karam dekhtay hain

~ Mirza Asadullad Khan Ghalib

Tori Soorat Ke Balhari Nijam - Amir Khusrau

$
0
0






Tori soorat kay balihaari, Nijaam
Tori soorat kay balihaari.
Sab sakhiyan mein chundar meri mailee,
Dekh hansain nar naari, Nijaam
Ab ke bahar chundar meri rang de,
Piya rakh lay laaj hamari, Nijaam.
Sadqa baba Ganj Shakar ka,
Rakh lay laaj hamari, Nijaam.
Qutab, Farid mil aaye barati,
'Khusrau' raajdulaari, Nijaam.
Kouo saas kouo nanad say jhagday,
Hamko aas tihaari, Nijaam.
Tori soorat kay balihaari, Nijaam.

---

trans: http://www.angelfire.com/sd/urdumedia/lyrics.html

Beholding your appearance, Oh Nijaam
I offer myself in sacrifice.
Amongst all the girls, my scarf is the most soiled,
Look, the girls are laughing at me.
This spring, please dye my scarf for me,
Oh Nijaam, protect my honour.
In the name of Ganj-e Shakar (Nizamuddin Aulia's pir),
Protect my honour, Oh beloved Nijaam.
Qutab and Farid have come in the wedding procession,
And Khusrau is the loving bride, Oh Nijaam.
Some have to fight with the mother-in-law,
While some with sisters-in-law,
But I have you for support, Oh Nijaam.


Poetry: Hazrat Amir Khusrau
Recital: Ustad Manzoor Ahmed Khan Niazi & Munshi Raziuddin Qawwal



Man Lago Yaar Faqiri Mein - Ustad Bahauddin Khan Qawwal

$
0
0
Ustad Bahauddin at his prime reciting Kabir with lots of girahbandi to various poets
includes a distinct Hyderabadi flavor with references to Kamil and Seemab.




Man Lago Yaar Faqiri Mein




Phool Khilay Bagiyan Mein & Phool Rahi Sarson

$
0
0
As another Spring comes to South Asia and flowers start to bloom, another rendition of this kalam appears to be an appropriate way to celebrate it all.

Phool Khiley Bagiyan Mein,
Amad-e-Fasl-e-Bahar

Champa, Chambeli, Gulab
Jhum Rahey Daar Daar



----

The Purbi lyrics and their translation [1]:

Sakal ban phool rahi sarson,
Umbva boray, tesu phulay,
Koyal bolay daar daar,
Aur gori karat singaar,
Malaniyan gadhwa lay aayin karson,

Tarah tarah kay phool lagaaye,
Lay gadhwa haathan mein aaye.
Nijamudin kay darwajay par,
Aawan keh gaey Shokh Rung,
Aur beet gaye barson.

The yellow mustard seeds bloom in every field,
Mango buds click open, flame of the forest trees blossom,
The koyal chirps from branch to branch,
And the fair maiden puts on her make-up,
The gardener-girls have brought bouquets,

With assorted flowers in arrangements,
Devotees arrive, bouquets in hand,
To Nizamuddin's doorstep,
But Shokh Rung, who had promised to come,
Hasn't turned up - its been many years.

----------
References:
[1] Lyrics and trans. adapted from: http://www.angelfire.com/sd/urdumedia/lyrics2.html

Article 0

Kuchh iss ada se aaj vo pehlu nasheen rahe - Jigar Muradabadi

$
0
0


Kuchh is adaa se aaj wo pehlu nasheen rahe-
jab tak hamaare paas rahe, hum nahin rahe

ya rab kisi ke raaz-e mohabbat ki khair ho 
dast-e junoon rahe na rahe aasteen rahe

iieemaan-o kufr aur na duniya-o dee' rahe 
ae ishq shadabash ke tanhaa hamin rahe

dard-e gham-e firaaq ke ye sakht marhale 
hairaan hun main ke phir bhi tum itne haseen rahe

jaa aur koi zabt ki duniya talaash kar
ae ishq hum to ab tere qaabil nahin rahe

Allah re chashm-e yaar ki maujiz bayaniyaan
har ek ko hai gumaa ke mukhaatib hamin rahe

mujh ko nahin qabool do aalam ki wus'aten
qismat mein koo-e yaar ki do gaz zameen rahe

is ishq ki talaafi-e maafaat dekhna
rone ki hasratein hain jab aansu nahin rahe

~ Jigar Moradabadi


http://en.wikipedia.org/wiki/Jigar_Moradabadi 

Jigar Moradabadi (Urdu: جِگر مُرادآبادی‎), was the nom de plume of Ali Sikandar (1890–1960), one of the most famous Urdu poets of the 20th century and a celebrated Urdu ghazal writer.[1][2] He received the Sahitya Akademi Award in 1958 for his highly acclaimed poetry collection "Atish-i-Gul".[3] 

Jigar Moradabadi was born on April 6, 1890 in Moradabad, Uttar Pradesh, India. He lost his father at an early age and did not have an easy childhood. At school (madrassah) he was taught bothArabic and Persian. His poetry teacher (ustad ) in the early days was Rasa Rampuri

Bedaad pasandi hadd se bardhi

$
0
0


Bedaad pasandi hadd se bardhi, taqdeer pe shaakir reh na sakey
zulm tumhein karna hi na aya, lutf-o-karam ham seh na sakey 

Bheegi palkein, hont laraztey, nazr-e-pareeshan, haaye sittam
iss tarah se poochhi halat-e-del, ham ro to diye kuchh keh na sakey

Dil pe kissi ne mohor laga di, hont khulley to kya haasil
kehne ko bohat kuchh kehte rahey. jo kehna chaha keh na sakey

Baagh se to kuchh lena to na tha, do sookhey tinke rakhey thae
Allah rakhey os bijli ko, voh bhi to salamat reh na sakey

Ham to Hazeen ye samjhe hein, daaman jo bhigo de paani hai
aansoo to wohi ik qatra hai, pankon pe jo tardpe beh na sakey


Article 0

$
0
0



​Hazrat Amir Khusrau's popular poetry "Chap Tilak" is sung here by Farid Ayaz and Abu Muhammad Qawwal party live at the Oscar Peterson Concert Hall, Montreal. Presented by Kabir Cultural Centre,
Montreal.

The singers demonstrate a special mastery over their genre with their girah-bandi (literally translated to knot-tying) relating similar ideas through verses of one Sufi poet to another. Here the singers switch to Sultan Bahu , Meer Taqi Meer, Bulleh Shah, Moalana Rumi and Kabir Das among others. It is amazing how mid-stream the singers easily switch the tune to another and revert to the original.

Also noteworthy here is the sargam, the Khusrau tarana and how wonderfully the audience reacts to the music. Please excuse the poor quality of the video/editing.​

Ustad Farid Ayaz and UstadAbu Muhammad Qawwal Party







متاع بے بہا ہے درد و سوز آرزو مندی - Mata e Be Baha Hai Dard o Soz Arzoo Mandi

$
0
0


Mata-e-bay baha hai dard o soz-e-arzoo mandi,
Maqam e bandagi dey kar na nushaane khudamandi,
Tere azad bandon ki na yeh dunya, na who dunya,
Yahan marnay ki pabandi, wahan jeenay ki pabandi,
Hijabat teer hai awara e quwway mohabbat ko,
Meri aatish ko bharkati hai teri dair qaybandi,
Guzar awqat kehle ta hai yeh ko ho bayabaan mein,
Ke shahi ke liya zillat hai kare ashiyaan mandi,
Yeh paida ne nazar ka yaan ki maktab ki karamat ki,
Sikhaye kis ne Ismail ko adab farzandee,
Ziyarat gah he ahle azmo himmat hay lahez meri,
Ke khaq e rah ko mein ne bataya raaz e albandi,
Meri masaathgi ki kiya zaroorat husne maani ko,
Ke fitrat khud ba khud karti hay laanay ki hina bandi,
Mata e bay baha hai dard e suze arzoo mandi,
Maqam e bandage dey kar nanu shane khudamandi!


متاع بے بہا ہے درد و سوز آرزو مندی
مقام بندگی دے کر نہ لوں شان خداوندی
ترے آزاد بندوں کی نہ يہ دنيا ، نہ وہ دنيا
يہاں مرنے کی پابندی ، وہاں جينے کی پابندی
حجاب اکسير ہے آوارہ کوئے محبت کو
ميری آتش کو بھڑکاتی ہے تيری دير پيوندی
گزر اوقات کر ليتا ہے يہ کوہ و بياباں ميں
کہ شاہيں کے ليے ذلت ہے کار آشياں بندی
يہ فيضان نظر تھا يا کہ مکتب کی کرامت تھی
سکھائے کس نے اسمعيل کو آداب فرزندی
زيارت گاہ اہل عزم و ہمت ہے لحد ميری
کہ خاک راہ کو ميں نے بتايا راز الوندی
مری مشاطگی کی کيا ضرورت حسن معنی کو
کہ فطرت خود بخود کرتی ہے لالے کی حنا بندی
 

Ambuva talle dola rakh de kaharva - Bidaai by Amir Khusrau

$
0
0



Radhika Chopra's endearing description of how a young bride leaves home is followed be her ever so sweet
recital of yet another of Khusraw's beautiful poems of bidayi.

Ambuva talle dola rakh de kaharva, aayi savan ki puhaar re
Ambuva talle dola...
Apne mandar me mein gurdiya khailat thi, sayyan ne bhaiju kahar re
apne mandar gurdiya khel na paayi, le gaye doliya savaar re
Ambuva talle dola...
Kon kahe beti aavan kariyo, kon kahe chheh maahs re
kon kahe behni roj ke aayio, kon kahe kao kaaj re?
Ambuva talle dola...
Baabul kahe beti aavan kariyo, maai ahe chheh maahs re
bhaiyya kahe behni roj ke aayio, bhoji kahe kao kaaj re
Ambuva talle dola...
Kon ke rove aisey nadeeya bhare hai, kon ke rove se taal re
kon ke rove bheegey chunarriya, kon ke hont ulaas re
Ambuva talle dola...
Baabul ke rove aisey ke nadeeya bharat hai, maai ke rove se taal re
bhaiyya ke rove bheeje chunarriya, bhoji ke hont ulaas re
Ambuva talle dola...




Raag Bahar - Ustad Nusrat Fateh Ali Khan sings Khurau Bandish

$
0
0


This rendition of Raag Bahar is simply 25 minutes of bliss.


Hazrat Khwaja sang khailiye dhamaal
baees e Khwaja ral ban than baithe
beech mein hazrat rasool e sahib e jamal
hazrat khwaja sang khailiye dhamaal

~ Hazrat Amir Khusrau

----------------------

Sakal ban phool rahi sarson,
Ambva moray, gesu phulay,
Koyal bolay daar daar,
Aur gori karat singhaar,
Malaniyan gadhwa lay aayin karson,

Tarah tarah kay phool mangaaye,
Lay gandhva haathan mein aaye.
Nijamuddin kay darwajay par,
Aawan keh gaey shoakh rung,
Aur beet gaye barson.


~ Hazrat Amir Khusrau

Mujh Mein Har Rung Ab Tumhara Hai - مجھ میں ہر رنگ اب تمھارا ہے

$
0
0
Jafar Husain Khansaheb ki sureeli awaz aur khubsoorat pyar bharay andaaz mein ye kalam aik farq hi rung mein, aur ruhani nisbat se pardha gaya hai.

preamble:
Manzil Milli, Murad Milli, Mudaa Milla
Sab Kuchh Mujhay Milla, Jo Tera Naqsh-e-Pa Milla

منزل ملی، مراد ملی، مدعا ملا
سب کھچہ مجھے ملا جو تیرا نقش پا ملا

Jab Dur tak Na Koi, Faqir Aashna Milla
Tera Niyaz-mand, Teray Dar se Ja Milla


جب دور تک نہ کوئی فقیر آشنا ملا
تیرا نیازمند تیرے دار سے جا ملا

------
Mujh Mein Har Rung Ab Tumhara Hai,
Ab to Keh do, Ke Tu Hamara Hai,


مجھ میں ہر رنگ اب تمھارا ہے
اب تے کہ دو کے تو ہمارا ہے

Aalam-e-Shoaq Mein, Na Jaaney Kyon,
Mein Ne Har Dam, Tumhein Pukara Hai

Tuu To Sab Hi Ke Paas Hai Moajood,
Kon Kehta Hai, Tuu Hamara Hai

Terey Sadqay Mein Ye Tamaam Jahan
Apni Thhokar Pe Main Ne Mara Hai

Raaz Ko Raaz Kyon Samajhtey Ho
Raaz Duniya Pe Aashiqara Hai,

Ab to Keh do, Ke Tu Hamara Hai,

-----------------------------------------


I arrived at my destiny,
Received my heart's desire,

My prayers were answered.
I received all, when I saw the imprint of Thy feet

When in the distance no one fimiliar with poverty was found
Your supplicant embraced Your door.

Now that all I have are Your colors
Pray tell me, You are mine.

In this mysterious world of desire,
I have called Your name with each breath.

After all You are present for everyone
Who can lay claim, You are just mine.

My Lord, this entire world is by your Grace
I sacrifice everything worldly for you

Why consider this mystery such a secret
When his eternal love is revealed to the entire world.


trans: sal94102 and arifkhan100 on youtube

------------

Ba har su Jalwa-e-Dildar Deedam - Farid Ayaz & Abu Muhammad

$
0
0
animated gif maker






Poetry: Hafiz (Khwaja Shams ad-Din Mohammad of Shiraz)
(1320-1389)
Qawwal: Farid Ayaz and Abu Muhammad @ APMC 2009

Ba har soo jalwa e dil daar deedam
Ba har cheez e jamal e yaar deedam

Na deedam haich shay ra khali az wai'
pur az wai' koocha o bazaar deedam

Choo khudra bin garam deedam hamoon ast
Jamal-e-khud jamal-e-yaar deedam

Namaz e zahidaan mehrab o minbar
Namaz e aashqaan bar daar deedam

Jo yak jurra raseed az ghaib a Hafiz
Hama aqal o khird bekaar deedam


Jan Zetan Burdi ~ Amir Khusrau

$
0
0

Jan zetan burdi wa darjani hunooz;
Dard-ha daadi wa darmani hunooz.
Aashkara seen-e am bashugaafti;
Hamchunan dar seen-e pinhani hunooz.
Ma za girya chun namak bagudakhtim;
Tu bakhunda shukr afshani hunooz.

~ Amir Khusrau

 You carried the soul from (my) body – and yet,
 You are still in the soul;
You have given pains – and are still the remedy;
Openly you split my breast Yet,
you are still hidden in my heart.
You have destroyed the kingdom of my heart
With the sword of coquetry,
 And are still a ruler in that place….

 [trans by A.Schimmel]

Sajda Kar ke Qadam-e-Yaar pe Qurban Hona

$
0
0

Farid Ayaz and Abu Muhammad Qawwal

Ustad Fariduddin Ayaz  & Ustad Abu Muhammad Qawwal - Live in Delhi @ http://naadsaagar.com

Sajda kar ke qadam-e-yaar pe qurbaan hona,
Yun likha tha meri kismat mein musalmaan hona;

Jiska mazhab ho faqat yaad-e-sanam deed-e-sanam,
Wo nahin jaanta kaafir ya musalmaan hona;

Husn ko poojna aur jaam-e-muhabbat peena,
Mashrab-e-ishq mein yun sahib-e-imaan hona;

Maqtab-e-ishq mein ‘Wamiq’ ne ya paai taleem
Ain-e-imaan hai fida-e-rukh-e-janaan hona.

~ Hazrat Syed Wamiq Mian

http://sufipoetry.blogspot.ca/2012/12/sajda-kar-ke-qadam-e-yaar-pe-qurbaan.html
Viewing all 172 articles
Browse latest View live