Ustad Ameer Ali Khan Murkiyan wale based in Dipalpur, Punjab
I adore his style of singing and cannot get enough <3 nbsp="" p="">3>
Jahan tera naqsh-e-qadam dekhte hain
Khayaban ḳhayaban iram dekhte hain
Tire sarv-qaamat se ik qadd-e-adam
Qayamat ke fitne ko kam dekhte hain
Tamasha ki aye mahv-e-aaina-dari
Tujhe kis tamanna se ham dekhte hain
Bana kar faqeeron ka ham bhes 'Ghalib'
Tamasha-e-ahl-e-karam dekhte hain
~ Mirza Ghalib
جہاں تیرا نقش قدم دیکھتے ہیں
خیاباں خیاباں ارم دیکھتے ہیں
ترے سرو قامت سے اک قد آدم
قیامت کے فتنے کو کم دیکھتے ہیں
تماشا کہ اے محو آئینہ داری
تجھے کس تمنا سے ہم دیکھتے ہیں
بنا کر فقیروں کا ہم بھیس غالبؔ
تماشائے اہل کرم دیکھتے ہیں
Celebrating Iqbal Day with a wonderful rendition of Shikwa & Jawab e Shikwa
Kyun ziyankaar banun sood-faramosh rahun
fikr-e-farda na karun mahv-e-gham-e-dosh rahun
naale bulbul ke sunun aur hamatan gosh rahun
ham-nava main bhi koi gul huun ke ḳhamosh rahun
jurataamoz meri taab-e-suḳhan hai mujh ko
shikva Allahse ḳhaakam-ba-dahan hai mujh ko
hai baja sheva-e-tasleem mein mashhur hain ham
qissa-e-dard sunate hain ki majbur hain ham
saaz ḳhamosh hain fariyaad se maamur hain ham
naala aata hai agar lab pe to maazoor hain ham
ae Khudashikva-e-arbab-e-vafa bhiī sun le
ḳhoogar-e-hamd se thoda sa gila bhi sun le
thi to maujood azal se hi teri zaat-e-qadeem
phuul tha zeb-e-chaman par na pareshaan thi shameem
shart insaaf hai ai sahib-e-altaf-e-ameem
bu-e-gul phailti kis tarah jo hoti na naseem
ham ko jameeyat-e-ḳhatir ye pareshani thi
varna ummat tire mahboob ki deevani thi
ham se pahle tha ajab tere jahan ka manzar
kaheen masjood the patthar kaheen maabood shajar
khugar-e-paikar-e-mahsoos thi insañ ki nazar
maanta phir koi an-dekhe Khudako kyunkar
tujh ko maaloom hai leta tha koi naam tira
quvvat-e-baazu-e-muslim ne kiya kaam tira
bas rahe the yaheen saljuq bhi toorani bhi
ahl-e-chin chiin mein Iranmein saasaani bhi
isi maamure mein aabaad theyunani bhi
isi duniya mein yahudi bhi the nasrani bhi
par tire naam pe talvar uthai kis ne
baat jo bigrdi hui thi vo banai kis ne