Tum ne jab zulf-e-pareeshan ko savara ho ga
sadqa-e-husn ghataon mein utara ho ga
Aap ki chashm-e-karam ka jo ishara ho ga
auj per mere muqadar ka sitara ho ga
Sang dil, tere bhi aansoo nikal aaye hon ge
doobne wale jab tujh ko pukara ho ga
Kuchh to qismat ki hai saazish meri barbadi ye
aur kuchh un ki bhi nazron ka ishara ho ga