![]() |
Aziz Ahmed Khan Warsi |
Hangama-e-gham se tang aa ker, izhaar-e-musarat ker baithhe
Mashhoor thi apni zinda-dilli, daanista shararat ker baithhe
Koshish to bohat ki ham ne magar, paya na gham-e-hasti se mafar
Veerani-e-dil jab hud se bardhi, ghabra ke muhabbat ker baithhe
Gulki ne to koshish ker dali, sooni ho chaman ki her daali
Kaanton ne mubarak kaam kiya, phoolon ki hifazat ker baithhe
Nazron se na karte pursish-e-gham, khaamosh hi rehna behtar tha
![]() |
Shakeel Badauni |
Her cheez nahin ik markaz per, ik roz idhar ik roz udhar
Nafrat se na daikho dushman ko, shayad vo muhabbat ker baithhe
Allah to sab ki sunta hai, jurrat hai Shakeel apni apni
Hali ne zuban se uff bhi na ki, Iqbal shikayat ker baithe
~ Shakeel Badauni