Aaram ke thay saathi kya kya,
Jab waqt parda to koi nahin
Sab dost hein apnay matlab e
duniyan mein kissi ka koi nahin
qataal-e-jehan mashooq jo thay
soonay pardey hein markaz unkey
ya marney walay laakhon thay
ya ronay wala koi nahin
jo baagh tha kal phoolon se bhara
itkheliyon se chalti thi sabah
ab sumbul o gul ka zikr to kya
khaak urdti hai os jaa koi nahin
~ Arzoo Lakhnavi